kitne arman chashm-e-tar se bah gae
kitne armāñ chashm-e-tar se bah ga.e
pyaar ke motī bikhar kar rah ga.e
ashk palkoñ pe larazte rah ga.e
ek afsāna alam kā kah ga.e
tum to bante the sharīk-e-zindagī
do qadam hī saath chal kar rah ga.e
un kā ġham dil meñ chhupānā hī paḌā
dil pe jo guzrī vo hañs kar sah ga.e
kaun jaane manziloñ kī khoj meñ
qāfile kitne bhaTak kar rah ga.e
dil kisī kā toḌne se pahle soch
kitne motī chashm-e-tar se bah ga.e
kar rahe the hasratoñ kā tazkira
log samjhe sher 'zāhid' kah ga.e
kitne arman chashm-e-tar se bah gae
pyar ke moti bikhar kar rah gae
ashk palkon pe larazte rah gae
ek afsana alam ka kah gae
tum to bante the sharik-e-zindagi
do qadam hi sath chal kar rah gae
un ka gham dil mein chhupana hi paDa
dil pe jo guzri wo hans kar sah gae
kaun jaane manzilon ki khoj mein
qafile kitne bhaTak kar rah gae
dil kisi ka toDne se pahle soch
kitne moti chashm-e-tar se bah gae
kar rahe the hasraton ka tazkira
log samjhe sher 'zahid' kah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.