kitne arman kitni ummidon ke paikar le gaya
kitne armāñ kitnī ummīdoñ ke paikar le gayā
ab ke phir sailāb-e-ġham āñkhoñ ke manzar le gayā
ḳhāmushī oḌhe hue dīvāna mere gaañv kā
chun ke tere shahr kā har ek patthar le gayā
mujh ko pahle koī pyāsā vādī-e-qutbain kā
apne kuuze meñ samo kar phir samundar le gayā
ab ke mere qatl kī sāzish meñ hai vo bhī sharīk
maañg kar mujh se hī merā dost ḳhanjar le gayā
bas isī ik baat par rūThe haiñ arbāb-e-hunar
ġham zamāne bhar kā kyoñ mahbūb 'anvar' le gayā
kitne arman kitni ummidon ke paikar le gaya
ab ke phir sailab-e-gham aankhon ke manzar le gaya
KHamushi oDhe hue diwana mere ganw ka
chun ke tere shahr ka har ek patthar le gaya
mujh ko pahle koi pyasa wadi-e-qutbain ka
apne kuze mein samo kar phir samundar le gaya
ab ke mere qatl ki sazish mein hai wo bhi sharik
mang kar mujh se hi mera dost KHanjar le gaya
bas isi ek baat par ruThe hain arbab-e-hunar
gham zamane bhar ka kyon mahbub 'anwar' le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.