kitne behis hain be-haya hain log
kitne behis haiñ be-hayā haiñ log
sar-basar jaur haiñ jafā haiñ log
maiñ ne haq baat jab se kah dī hai
mujh se be-intihā ḳhafā haiñ log
naam se bhī vafā ke chiḌte haiñ
kis qadar dushman-e-vafā haiñ log
un ke kār-e-siyāh mat pūchho
ban ke phirte jo pārsā haiñ log
ḳhūgar-e-adl kā ḳhudā-hāfiz
dushman-e-adl barmalā haiñ log
jaan dete ho jo usūloñ par
aaj bhī aise be-bahā haiñ log
mere dil ko hai justujū jin kī
vo bahut hī 'malik' judā haiñ log
kitne behis hain be-haya hain log
sar-basar jaur hain jafa hain log
main ne haq baat jab se kah di hai
mujh se be-intiha KHafa hain log
nam se bhi wafa ke chiDte hain
kis qadar dushman-e-wafa hain log
un ke kar-e-siyah mat puchho
ban ke phirte jo parsa hain log
KHugar-e-adl ka KHuda-hafiz
dushman-e-adl barmala hain log
jaan dete ho jo usulon par
aaj bhi aise be-baha hain log
mere dil ko hai justuju jin ki
wo bahut hi 'malik' juda hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.