kitne bosida hain haalat musalmanon ke
kitne bosīda haiñ hālāt musalmānoñ ke
dil dukhāte haiñ yahāñ faisle aivānoñ ke
oḌhnā aur bichhaunā huā daulat un kā
bā.is-e-sharm yahāñ kaam haiñ sultānoñ ke
ye bhī mahbūb kī yādoñ meñ magan hoñ shāyad
shaiḳh jī aap kyoñ dushman hue dīvānoñ ke
sāhab-e-fikr madad-gār mujāhid darvesh
ab to lagtā hai ye kirdār haiñ afsānoñ ke
kāTnā mārnā insān kā sheva to nahīñ
chhoḌ do taur tarīqe haiñ ye haivānoñ ke
bas zarā sī ye ġharībī hai sanam Tal jaa.e
chaak sī leñge sanam apne garebānoñ ke
ham to guftār ke ġhāzī haiñ yahāñ sab 'anjum'
amn ke naam pe bhāge hue maidānoñ ke
kitne bosida hain haalat musalmanon ke
dil dukhate hain yahan faisle aiwanon ke
oDhna aur bichhauna hua daulat un ka
bais-e-sharm yahan kaam hain sultanon ke
ye bhi mahbub ki yaadon mein magan hon shayad
shaiKH ji aap kyon dushman hue diwanon ke
sahab-e-fikr madad-gar mujahid darwesh
ab to lagta hai ye kirdar hain afsanon ke
kaTna marna insan ka shewa to nahin
chhoD do taur tariqe hain ye haiwanon ke
bas zara si ye gharibi hai sanam Tal jae
chaak si lenge sanam apne garebanon ke
hum to guftar ke ghazi hain yahan sab 'anjum'
amn ke nam pe bhage hue maidanon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.