kitne dardon mein dawaon ki si tasir bhi hai
kitne dardon mein dawaon ki si tasir bhi hai
Rasheed Kausar Farooquee
MORE BYRasheed Kausar Farooquee
kitne dardoñ meñ davāoñ kī sī tāsīr bhī hai
tan ba-taqdīr hī rah jā ki ye tadbīr bhī hai
sun ke ik ḳhvāb hasīñ mere muabbir ne kahā
ye tirā ḳhvāb tire ḳhvāb kī ta.abīr bhī hai
mustavā apne liye kis ne kahā kaise chunā
isī duniyā meñ himāla bhī hai pāmīr bhī hai
vasl-e-mad.hosh-kunāñ se ġham-e-hijrāñ ḳhush-tar
ki tasavvur meñ hai tū bhī tirī tasvīr bhī hai
shoḳhī-e-husn ne chhoḌī na koī rāh-e-farār
ek hī saañs meñ inzār bhī tabshīr bhī hai
tum ḳhudā ko to nahīñ mānte lekin sāhab
laakh tadbīr karo taak meñ taqdīr bhī hai
dosh-e-sayyād ke tarkash se fazā sahm ga.ī
dekhtā kaun ki tarkash meñ koī tiir bhī hai
ye girah nāḳhun-e-tadbīr se khulne kī nahīñ
phir bhī naumīd na ho nāḳhun-e-shamshīr bhī hai
sulhullāh nahīñ jañg bhī fillāh nahīñ
na.ara-bāzāñ koī shabbar koī shabbīr bhī hai
ab to bas guzrī huī umr basar kartā huuñ
merī tanhā.ī ḳhamoshī bhī hai taqrīr bhī hai
ḳhud-kalāmī bhī na de saath agar muñh se kahūñ
ek andoh jo gahrā bhī hai gambhīr bhī hai
imtihāñ hai ki sazā aur sazā hai jo ye umr
kitnī taqsīr hai yā sach koī taqsīr bhī hai
isī bait-e-nabavī ke fuqarā ham bhī haiñ
ḳhuld bhī jis ke liye āya-e-tat.hīr bhī hai
ham ne bāzār-e-jadīdāñ meñ bahut din DhūñDā
koī 'ġhālib' bhī hai 'iqbāl' bhī hai 'mīr' bhī hai
kitne dardon mein dawaon ki si tasir bhi hai
tan ba-taqdir hi rah ja ki ye tadbir bhi hai
sun ke ek KHwab hasin mere muabbir ne kaha
ye tera KHwab tere KHwab ki tabir bhi hai
mustawa apne liye kis ne kaha kaise chuna
isi duniya mein himala bhi hai pamir bhi hai
wasl-e-madhosh-kunan se gham-e-hijran KHush-tar
ki tasawwur mein hai tu bhi teri taswir bhi hai
shoKHi-e-husn ne chhoDi na koi rah-e-farar
ek hi sans mein inzar bhi tabshir bhi hai
tum KHuda ko to nahin mante lekin sahab
lakh tadbir karo tak mein taqdir bhi hai
dosh-e-sayyaad ke tarkash se faza sahm gai
dekhta kaun ki tarkash mein koi tir bhi hai
ye girah naKHun-e-tadbir se khulne ki nahin
phir bhi naumid na ho naKHun-e-shamshir bhi hai
sulhullah nahin jang bhi fillah nahin
nara-bazan koi shabbar koi shabbir bhi hai
ab to bas guzri hui umr basar karta hun
meri tanhai KHamoshi bhi hai taqrir bhi hai
KHud-kalami bhi na de sath agar munh se kahun
ek andoh jo gahra bhi hai gambhir bhi hai
imtihan hai ki saza aur saza hai jo ye umr
kitni taqsir hai ya sach koi taqsir bhi hai
isi bait-e-nabawi ke fuqara hum bhi hain
KHuld bhi jis ke liye aaya-e-tathir bhi hai
hum ne bazar-e-jadidan mein bahut din DhunDa
koi 'ghaalib' bhi hai 'iqbaal' bhi hai 'mir' bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.