kitne haqaeq ke chehre ru-posh mile afsanon mein
kitne haqā.eq ke chehre rū-posh mile afsānoñ meñ
aksar apnā-pan dekhā hai begānoñ an-jānoñ meñ
jaate jaate husn-e-nazar se pyaar ke phuul khilāte jaao
varna din kaise guzreñge ziist ke in vīrānoñ meñ
zehn ke goshe-goshe meñ ehsās kī kircheñ chubhtī haiñ
karb kī sahbā Dhalne lagī hai lafzoñ ke paimānoñ meñ
chehroñ ke ā.īne bhī ab dil kī baat nahīñ kahte
ab to koī farq nahīñ hai apnoñ aur begānoñ meñ
shīsh-mahal meñ baiTh ke patthar pheñk rahe haiñ duniyā par
shāyad yuuñ hī naam tumhārā aa jaa.e farzānoñ meñ
taaza havā aur dhuup kisī taḳhrīb kā baa.is ban na sakīñ
koī aaḌ lagā do ghar ke saare raushan-dānoñ meñ
aap kī fahm-o-farāsat ke afsāne aam haiñ har jānib
aap bhalā kyoñ aa baiThe ham ḳhāk-basar dīvānoñ meñ
'mehdī' chauñkā detā hai andāz tumhārī ġhazloñ kā
lafz-o-bayāñ kā jaadū kaisā ras ghole hai kānoñ meñ
kitne haqaeq ke chehre ru-posh mile afsanon mein
aksar apna-pan dekha hai beganon an-jaanon mein
jate jate husn-e-nazar se pyar ke phul khilate jao
warna din kaise guzrenge zist ke in viranon mein
zehn ke goshe-goshe mein ehsas ki kirchen chubhti hain
karb ki sahba Dhalne lagi hai lafzon ke paimanon mein
chehron ke aaine bhi ab dil ki baat nahin kahte
ab to koi farq nahin hai apnon aur beganon mein
shish-mahal mein baiTh ke patthar phenk rahe hain duniya par
shayad yun hi nam tumhaara aa jae farzanon mein
taza hawa aur dhup kisi taKHrib ka bais ban na sakin
koi aaD laga do ghar ke sare raushan-danon mein
aap ki fahm-o-farasat ke afsane aam hain har jaanib
aap bhala kyon aa baiThe hum KHak-basar diwanon mein
'mehdi' chaunka deta hai andaz tumhaari ghazlon ka
lafz-o-bayan ka jadu kaisa ras ghole hai kanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.