kitne hasin KHwab haqiqat-pasand hain
kitne hasīn ḳhvāb haqīqat-pasand haiñ
kitne tasavvurāt nigāhoñ meñ band haiñ
apnī nazar se koī hameñ kyā girā.egā
ham ahl-e-dard apnī nazar meñ buland haiñ
kuchh to batā.iye sabab-e-dil-giraftagī
bazm-e-vafā meñ aaj bhī ham jaise chand haiñ
kitnī kashā-kashoñ se rahā sābiqa magar
apnī ravish pe aaj bhī ham kār-band haiñ
arbāb-e-ishq ko bhī hai dīvāngī pe naaz
hone do ahl-e-husn agar aql-mand haiñ
hai aaj bazm-e-shauq meñ ḳhushbū basī huī
phūloñ se kis ke gūñdhe hue bāzū-band haiñ
'nayyar' bayān-e-dard se kuchh fā.eda nahīñ
ye ahl-e-bazm itne kahāñ dard-mañd haiñ
kitne hasin KHwab haqiqat-pasand hain
kitne tasawwuraat nigahon mein band hain
apni nazar se koi hamein kya giraega
hum ahl-e-dard apni nazar mein buland hain
kuchh to bataiye sabab-e-dil-giraftagi
bazm-e-wafa mein aaj bhi hum jaise chand hain
kitni kasha-kashon se raha sabiqa magar
apni rawish pe aaj bhi hum kar-band hain
arbab-e-ishq ko bhi hai diwangi pe naz
hone do ahl-e-husn agar aql-mand hain
hai aaj bazm-e-shauq mein KHushbu basi hui
phulon se kis ke gundhe hue bazu-band hain
'nayyar' bayan-e-dard se kuchh faeda nahin
ye ahl-e-bazm itne kahan dard-mand hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.