kitne hi rang khule jate hain shadabi mein
kitne hī rang khule jaate haiñ shādābī meñ
tum ne dekhā hai mujhe ālam-e-be-ḳhvābī meñ
chashm-e-namnāk hai ḳhvāboñ kī numū-yābī meñ
aur ham mahv haiñ ik ālam-e-ġharqābī meñ
ye mohabbat hai junūñ hai yā fasāna hai koī
kaise asrār haiñ pinhāñ mirī betābi meñ
kitne tūfān sameTe hue ham rahte haiñ
kitnī halchal hai machī is dil-e-sailābī meñ
kaise hī ramz-e-sahar ham pe khule jaate haiñ
kyā sukūñ paate haiñ ham lamha-e-sairābī meñ
kitne hi rang khule jate hain shadabi mein
tum ne dekha hai mujhe aalam-e-be-KHwabi mein
chashm-e-namnak hai KHwabon ki numu-yabi mein
aur hum mahw hain ek aalam-e-gharqabi mein
ye mohabbat hai junun hai ya fasana hai koi
kaise asrar hain pinhan meri betabi mein
kitne tufan sameTe hue hum rahte hain
kitni halchal hai machi is dil-e-sailabi mein
kaise hi ramz-e-sahar hum pe khule jate hain
kya sukun pate hain hum lamha-e-sairabi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.