kitne kanTon se bhari hai ye Dagar jaante hain
kitne kāñToñ se bharī hai ye Dagar jānte haiñ
kaisā mushkil hai mohabbat kā safar jānte haiñ
ab nahīñ dūrī-e-manzil kā koī ḳhauf hameñ
ābla-pā.ī ko sahne kā hunar jānte haiñ
ham ne kab tum ko banāyā hai muhāfiz apnā
kaise karnā hai hameñ apnā safar jānte haiñ
ham ne dekhe haiñ badalte hue duniyā ke chalan
kaise andāz kī hai kis kī nazar jānte haiñ
ye jo tūfāñ hameñ le aate haiñ sāhil kī taraf
ye hai sab maañ kī du'āoñ kā asar jānte haiñ
ham bhī 'tasnīm' rahe shām-o-sahar gardish meñ
apnī rūdād ko ye shams-o-qamar jānte haiñ
kitne kanTon se bhari hai ye Dagar jaante hain
kaisa mushkil hai mohabbat ka safar jaante hain
ab nahin duri-e-manzil ka koi KHauf hamein
aabla-pai ko sahne ka hunar jaante hain
hum ne kab tum ko banaya hai muhafiz apna
kaise karna hai hamein apna safar jaante hain
hum ne dekhe hain badalte hue duniya ke chalan
kaise andaz ki hai kis ki nazar jaante hain
ye jo tufan hamein le aate hain sahil ki taraf
ye hai sab man ki du'aon ka asar jaante hain
hum bhi 'tasnim' rahe sham-o-sahar gardish mein
apni rudad ko ye shams-o-qamar jaante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.