kitne KHayal raat ki palkon mein aae the
kitne ḳhayāl raat kī palkoñ meñ aa.e the
kirnoñ ne sab charāġh savere bujhā.e the
chalnā paḌā havā ko bhī dāman sañbhāl kar
phūloñ ke saath raah meñ kāñTe bichhā.e the
paanī bachā ke rakh liyā vīrāniyoñ ke biich
kis ne hazāroñ kos se panchhī bulā.e the
sarsabz vo hī peḌ huā moḌ kī tarah
jis ne havā meñ pankh se patte uḌaa.e the
rasm-o-rivāj kī amar beloñ ne Das liyā
ham ne azal se ḳhud hī ye bandhan banā.e the
taare ga.e kahāñ ye vahīñ ke vahīñ rahe
din se chhupā.e jo vahī shab ne dikhā.e the
badle libās aadmī har rut ke rang meñ
patthar ke yug meñ aaj ke kapḌe silā.e the
bāhar faqīr ne kahīñ Derā lagā liyā
bāzār saare shahr ke ham ne sajā.e the
alfāz kā hujūm thā pahchānte kise
kitne hī bin bulā.e kitāboñ meñ aa.e the
kitne KHayal raat ki palkon mein aae the
kirnon ne sab charagh sawere bujhae the
chalna paDa hawa ko bhi daman sanbhaal kar
phulon ke sath rah mein kanTe bichhae the
pani bacha ke rakh liya viraniyon ke bich
kis ne hazaron kos se panchhi bulae the
sarsabz wo hi peD hua moD ki tarah
jis ne hawa mein pankh se patte uDae the
rasm-o-riwaj ki amar belon ne Das liya
hum ne azal se KHud hi ye bandhan banae the
tare gae kahan ye wahin ke wahin rahe
din se chhupae jo wahi shab ne dikhae the
badle libas aadmi har rut ke rang mein
patthar ke yug mein aaj ke kapDe silae the
bahar faqir ne kahin Dera laga liya
bazar sare shahr ke hum ne sajae the
alfaz ka hujum tha pahchante kise
kitne hi bin bulae kitabon mein aae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.