kitne sawal kitne jawabon ko oDh kar
kitne savāl kitne javāboñ ko oḌh kar
sotā huuñ maiñ sukūn se ḳhvāboñ ko oḌh kar
sach-much maiñ so gayā ki ye ġhaflat kī niiñd thī
dariyā kī chāhatoñ meñ sarāboñ ko oḌh kar
kāñToñ kī thī chubhan jo mujhe niiñd aa ga.ī
sote haiñ log kaise gulāboñ ko oḌh kar
gar maqsad-e-hayāt samajh meñ na aa sakā
hāsil hī kyā ki so.uuñ kitāboñ ko oḌh kar
paale hue haiñ kitnī ġhalat-fahmiyoñ kā dard
dariyāoñ ko hai zo'm habāboñ ko oḌh kar
jab tajziya kiyā to ḳhasāre hī haath aa.e
baiThā huuñ zindagī ke hisāboñ ko oḌh kar
dar hai mu’āfiyoñ kā khulā maañg lo 'razā'
tum bhī to dafn hoge turāboñ ko oḌh kar
kitne sawal kitne jawabon ko oDh kar
sota hun main sukun se KHwabon ko oDh kar
sach-much main so gaya ki ye ghaflat ki nind thi
dariya ki chahaton mein sarabon ko oDh kar
kanTon ki thi chubhan jo mujhe nind aa gai
sote hain log kaise gulabon ko oDh kar
gar maqsad-e-hayat samajh mein na aa saka
hasil hi kya ki soun kitabon ko oDh kar
pale hue hain kitni ghalat-fahmiyon ka dard
dariyaon ko hai zo'm hababon ko oDh kar
jab tajziya kiya to KHasare hi hath aae
baiTha hun zindagi ke hisabon ko oDh kar
dar hai mu’afiyon ka khula mang lo 'raza'
tum bhi to dafn hoge turabon ko oDh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.