kitne ujaD gae hain chaman ku-e-yar mein
kitne ujaḌ ga.e haiñ chaman kū-e-yār meñ
kaisī havā.eñ ab ke chalī haiñ bahār meñ
duniyā haqīr jaan ke nazreñ na pher le
thoḌī sī lāzmī hai anā inkisār meñ
zarroñ se aa rahī hai vafā-dāriyoñ kī bū
shāyad mirā lahū hai terī rahguzār meñ
ilzām ā.inoñ pe lagāte ho kis liye
chehra aTā huā hai tumhārā ġhubār meñ
māñDū kī sarzamīn ko samjho na be-samar
tārīḳh ke gulāb haiñ ujḌe dayār meñ
āñkhoñ meñ qaid karne kī koshish fuzūl hai
aañsū nahīñ rahe haiñ mire iḳhtiyār meñ
shāyad ki kal zamīñ pe khileñ amn ke gulāb
har pal guzar rahā hai isī intizār meñ
'sarvat' jahān-e-ilm meñ kuchh kam-nasīb log
ab tak paḌe hue haiñ jahālat ke ġhaar meñ
kitne ujaD gae hain chaman ku-e-yar mein
kaisi hawaen ab ke chali hain bahaar mein
duniya haqir jaan ke nazren na pher le
thoDi si lazmi hai ana inkisar mein
zarron se aa rahi hai wafa-dariyon ki bu
shayad mera lahu hai teri rahguzar mein
ilzam aainon pe lagate ho kis liye
chehra aTa hua hai tumhaara ghubar mein
manDu ki sarzamin ko samjho na be-samar
tariKH ke gulab hain ujDe dayar mein
aankhon mein qaid karne ki koshish fuzul hai
aansu nahin rahe hain mere iKHtiyar mein
shayad ki kal zamin pe khilen amn ke gulab
har pal guzar raha hai isi intizar mein
'sarwat' jahan-e-ilm mein kuchh kam-nasib log
ab tak paDe hue hain jahaalat ke ghaar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.