kitni bhali hai duniya ya phir buri hai duniya
kitni bhali hai duniya ya phir buri hai duniya
Syed Moinuddin Makhfi
MORE BYSyed Moinuddin Makhfi
kitnī bhalī hai duniyā yā phir burī hai duniyā
jaisā mizāj merā vaisī lagī hai duniyā
is ke sañvārne meñ hālat bigaḌ rahī hai
jo dā.imī Thikāna vo dūsrī hai duniyā
dil se nikālne meñ taklīf ho rahī hai
kin muddatoñ se mere dil meñ rahī hai duniyā
nīchī nigāh rakhnā dāman bachā ke chalnā
kāñToñ bharī añdherī TeḌhī galī hai duniyā
rakhtā hai yaad rab ko kab kab kahāñ kahāñ tū
bas dekh le yahī tū kaisī sajī hai duniyā
a.amāl kī zabāñ se jo haiñ ḳhudā ke munkir
un ke liye to āḳhir sab kuchh yahī hai duniyā
ma.asūmiyat ko apnī jis ne javān rakkhā
us ke liye to yaaro būḌhī baḌī hai duniyā
qudrat kī ne.amatoñ kā inkār kyoñ karūñ maiñ
uqbā sañvārne ko mujh ko milī hai duniyā
maiñ jo bhalā huuñ 'maḳhfī' saare bhale lage haiñ
kyūñkar kahūñ bhalā maiñ kitnī burī hai duniyā
kitni bhali hai duniya ya phir buri hai duniya
jaisa mizaj mera waisi lagi hai duniya
is ke sanwarne mein haalat bigaD rahi hai
jo daimi Thikana wo dusri hai duniya
dil se nikalne mein taklif ho rahi hai
kin muddaton se mere dil mein rahi hai duniya
nichi nigah rakhna daman bacha ke chalna
kanTon bhari andheri TeDhi gali hai duniya
rakhta hai yaad rab ko kab kab kahan kahan tu
bas dekh le yahi tu kaisi saji hai duniya
aamal ki zaban se jo hain KHuda ke munkir
un ke liye to aaKHir sab kuchh yahi hai duniya
masumiyat ko apni jis ne jawan rakkha
us ke liye to yaro buDhi baDi hai duniya
qudrat ki neamaton ka inkar kyon karun main
uqba sanwarne ko mujh ko mili hai duniya
main jo bhala hun 'maKHfi' sare bhale lage hain
kyunkar kahun bhala main kitni buri hai duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.