kitni dilchasp lagi soKHta-jaani meri
kitnī dilchasp lagī soḳhta-jānī merī
sab ko apnī sī nazar aa.ī kahānī merī
shahr meñ phir se hue ishq ke charche mere
phir se mash.hūr huī naql-e-makānī merī
bas meñ hotā to muqaddar kī marammat kartā
par koī kiil hathauḌī na kamānī merī
tum to pal-bhar meñ mujhe shefta kar lete ho
tum pe kyoñ baar guzartī hai girānī merī
jis ko paḌhne se galā sūkhne lag jaatā hai
vo ġhazal sāmne laao na purānī merī
log kab khol ke dekheñ mire dil ko 'ātir'
vo to DhūñDeñ mire chehre pe javānī merī
kitni dilchasp lagi soKHta-jaani meri
sab ko apni si nazar aai kahani meri
shahr mein phir se hue ishq ke charche mere
phir se mashhur hui naql-e-makani meri
bas mein hota to muqaddar ki marammat karta
par koi kil hathauDi na kamani meri
tum to pal-bhar mein mujhe shefta kar lete ho
tum pe kyon bar guzarti hai girani meri
jis ko paDhne se gala sukhne lag jata hai
wo ghazal samne lao na purani meri
log kab khol ke dekhen mere dil ko 'atir'
wo to DhunDen mere chehre pe jawani meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.