Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitni gahri ye shanasai lage

Santosh khirvadkar

kitni gahri ye shanasai lage

Santosh khirvadkar

MORE BYSantosh khirvadkar

    kitnī gahrī ye shanāsā.ī lage

    jhūTh vo bole to sachchā.ī lage

    itnā pāgal huuñ maiñ un ke ishq meñ

    bhiiḌ meñ bhī mujh ko tanhā.ī lage

    tum nahīñ ho saath jab mere sanam

    shuul jaisī mujh ko purvā.ī lage

    bāġhbāñ terī badaulat yahāñ

    har kalī gulshan murjhā.ī lage

    chāhtā huuñ is qadar tujh ko ki ab

    har burā.ī terī achchhā.ī lage

    sab yahī kahte mile 'santosh' ab

    jaan dushman ye mahñgā.ī lage

    kitni gahri ye shanasai lage

    jhuTh wo bole to sachchai lage

    itna pagal hun main un ke ishq mein

    bhiD mein bhi mujh ko tanhai lage

    tum nahin ho sath jab mere sanam

    shul jaisi mujh ko purwai lage

    baghban teri badaulat hi yahan

    har kali gulshan ki murjhai lage

    chahta hun is qadar tujh ko ki ab

    har burai teri achchhai lage

    sab yahi kahte mile 'santosh' ab

    jaan ki dushman ye mahngai lage

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now