Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitni hasin lagti hai chehron ki ye kitab

Yusuf Azmi

kitni hasin lagti hai chehron ki ye kitab

Yusuf Azmi

MORE BYYusuf Azmi

    kitnī hasīn lagtī hai chehroñ ye kitāb

    satroñ ke biich dekhiye phailā huā 'azāb

    chīḳhoñ karb naġhmoñ ke sho'le varaq varaq

    ehsās ban rahā hai javāñ dard kitāb

    mīzān-e-dil meñ tauliye phūloñ se har umiid

    lamhoñ meñ ghul rahā hai tamannāoñ shabāb

    chehroñ pe aaj kitne naqāboñ bojh hai

    zaḳhmī hai ā.inoñ ke samundar meñ har hijāb

    ye zindagī hai sāyoñ bikhrā huā kafan

    dasht-e-safar hai ḳhvāb phailā huā sarāb

    kitni hasin lagti hai chehron ki ye kitab

    satron ke bich dekhiye phaila hua 'azab

    chiKHon ka karb naghmon ke sho'le waraq waraq

    ehsas ban raha hai jawan dard ki kitab

    mizan-e-dil mein tauliye phulon se har umid

    lamhon mein ghul raha hai tamannaon ka shabab

    chehron pe aaj kitne naqabon ka bojh hai

    zaKHmi hai aainon ke samundar mein har hijab

    ye zindagi hai sayon ka bikhra hua kafan

    dasht-e-safar hai KHwab ka phaila hua sarab

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now