kitni manus-nigahi ke fusun chaunk paDe
kitnī mānūs-nigāhī ke fusūñ chauñk paḌe
us ne begāna adaa.ī se jab irshād kiyā
un kī nazroñ meñ hamīñ jaur ke qābil Thahre
chāhne vāloñ ko hī kushta-e-bedād kiyā
yaad ik TuuTe ta'alluq kī dilāne ke liye
bhūlī-bisrī huī yādoñ ne hameñ yaad kiyā
dil bhī kyā shoḳh-tabī.at hai ki sapnoñ kā nagar
abhī basne bhī na paayā thā ki barbād kiyā
ghuT ke marne ke salīqe bhī sikhā.e hote
dil-figāroñ ko asīrī se to āzād kiyā
ham ne to ghar meñ bhī dekhī na sukūñ kī sūrat
'ġhālib'-e-ḳhasta ne kyoñ dasht meñ ghar yaad kiyā
kaisī uftād paḌī shahr-e-tamannā pe 'rishī'
jis ne ābād kiyā us ne hī barbād kiyā
kitni manus-nigahi ke fusun chaunk paDe
us ne begana adai se jab irshad kiya
un ki nazron mein hamin jaur ke qabil Thahre
chahne walon ko hi kushta-e-bedad kiya
yaad ek TuTe ta'alluq ki dilane ke liye
bhuli-bisri hui yaadon ne hamein yaad kiya
dil bhi kya shoKH-tabiat hai ki sapnon ka nagar
abhi basne bhi na paya tha ki barbaad kiya
ghuT ke marne ke saliqe bhi sikhae hote
dil-figaron ko asiri se to aazad kiya
hum ne to ghar mein bhi dekhi na sukun ki surat
'ghaalib'-e-KHasta ne kyon dasht mein ghar yaad kiya
kaisi uftad paDi shahr-e-tamanna pe 'rishi'
jis ne aabaad kiya us ne hi barbaad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.