kitni mushkil se taqaza pas-e-guftar khula
kitnī mushkil se taqāzā pas-e-guftār khulā
to kahīñ jā ke ye pairāya-e-iz.hār khulā
kaun vārid huā bastī meñ ki sab saudāgar
chhoḌ ke aa.e haiñ bāzār kā bāzār khulā
sar kahīñ ḳham hai kahīñ pech ulajhte jaa.eñ
tab-e-mad.hosh sambhal halqa-e-dastār khulā
ḳhair hañsne se tumhāre to hai duniyā vāqif
merā girya bhī khulā to pas-e-dīvār khulā
kaise chaḌhte hue sūraj kī parastish hogī
raaz us vaqt khulā ham pe ki jab daar khulā
hadaf-e-chashm-e-siyah 'soz' maiñ banñā chāhūñ
jaa.e ḳhālī na kisī taur koī vaar khulā
kitni mushkil se taqaza pas-e-guftar khula
to kahin ja ke ye pairaya-e-izhaar khula
kaun warid hua basti mein ki sab saudagar
chhoD ke aae hain bazar ka bazar khula
sar kahin KHam hai kahin pech ulajhte jaen
tab-e-madhosh sambhal halqa-e-dastar khula
KHair hansne se tumhaare to hai duniya waqif
mera girya bhi khula to pas-e-diwar khula
kaise chaDhte hue suraj ki parastish hogi
raaz us waqt khula hum pe ki jab dar khula
hadaf-e-chashm-e-siyah 'soz' main banna chahun
jae KHali na kisi taur koi war khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.