kitni raaton se ye aalam hai ki soe nahin hain
kitnī rātoñ se ye aalam hai ki so.e nahīñ haiñ
dil umaDtā hai magar ham haiñ ki ro.e nahīñ haiñ
bhiiḌ meñ rahnā to har chand ki majbūrī hai
bhiiḌ meñ rahte hue ham kahīñ kho.e nahīñ haiñ
is bayābāñ meñ koī naḳhl kahāñ baḌhtā hai
biij ham ne bhī yahī soch ke bo.e nahīñ haiñ
ab vo taqrīb bhī aa pahuñchī hai nazdīk magar
ham ne kapḌe bhī abhī Thiik se dho.e nahīñ haiñ
kitni raaton se ye aalam hai ki soe nahin hain
dil umaDta hai magar hum hain ki roe nahin hain
bhiD mein rahna to har chand ki majburi hai
bhiD mein rahte hue hum kahin khoe nahin hain
is bayaban mein koi naKHl kahan baDhta hai
bij hum ne bhi yahi soch ke boe nahin hain
ab wo taqrib bhi aa pahunchi hai nazdik magar
hum ne kapDe bhi abhi Thik se dhoe nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.