Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitni shiddat se tujhe chaha tha

Mahmood Shaam

kitni shiddat se tujhe chaha tha

Mahmood Shaam

MORE BYMahmood Shaam

    kitnī shiddat se tujhe chāhā thā

    kabhī kuchh aur nahīñ sochā thā

    kho.e the aise tirī chāhat meñ

    TuuT ke abr-e-junūñ barsā thā

    merī har soch meñ thī terī soch

    merā har lamha tirā lamha thā

    jab bhī paḌte the ḳhayāloñ ke bhañvar

    terā chehra ubhar aatā thā

    un dinoñ jism rag rag meñ ravāñ

    ḳhuuñ kahāñ ḳhvāhishoñ dariyā thā

    yaad hai aaj bhī sāñsoñ mahak

    vaqt apne liye ruk jaatā thā

    jab chamaktā thā badan sūraj

    dhuup ban kar maiñ bikhar jaatā thā

    TuuT jaatā thā zamānoñ sukūt

    daf.atan shaam ko phone aatā thā

    rañg-e-pairāhan-e-ehsās thī

    maiñ nigāh-e-talab-e-tishna thā

    nasīm-e-sahar mausam-e-gul

    maiñ ki ik TuuTā huā pattā thā

    reza reza huā qasr-e-pindār

    be-tarah zor-e-badan TuuTā thā

    vaar aaj tire dar pe anā

    bojh sadiyoñ se uThā rakkhā thā

    rāheñ bāñheñ to darīche āñkheñ

    ye tirā shahr bhī tujh jaisā thā

    umr-bhar apne sho.aloñ meñ jalā

    maiñ ki sūraj tarah tanhā thā

    garm haiñ rañg ke bāzār yahāñ

    itnā sannāTā kahāñ hotā thā

    paañv nīche se zamīñ bhī niklī

    maiñ ḳhalāoñ taraf lapkā thā

    sub.h tarah vo be-rañg hai ab

    'shām' tarah jise chāhā thā

    kitni shiddat se tujhe chaha tha

    kabhi kuchh aur nahin socha tha

    khoe the aise teri chahat mein

    TuT ke abr-e-junun barsa tha

    meri har soch mein thi teri hi soch

    mera har lamha tera lamha tha

    jab bhi paDte the KHayalon ke bhanwar

    tera chehra hi ubhar aata tha

    un dinon jism ki rag rag mein rawan

    KHun kahan KHwahishon ka dariya tha

    yaad hai aaj bhi sanson ki mahak

    waqt apne liye ruk jata tha

    jab chamakta tha badan ka suraj

    dhup ban kar main bikhar jata tha

    TuT jata tha zamanon ka sukut

    dafatan sham ko phone aata tha

    rang-e-pairahan-e-ehsas thi tu

    main nigah-e-talab-e-tishna tha

    tu nasim-e-sahar mausam-e-gul

    main ki ek TuTa hua patta tha

    reza reza hua qasr-e-pindar

    be-tarah zor-e-badan TuTa tha

    war di aaj tere dar pe ana

    bojh sadiyon se uTha rakkha tha

    rahen banhen to dariche aankhen

    ye tera shahr bhi tujh jaisa tha

    umr-bhar apne hi shoalon mein jala

    main ki suraj ki tarah tanha tha

    garm hain rang ke bazar yahan

    itna sannaTa kahan hota tha

    panw niche se zamin bhi nikli

    main KHalaon ki taraf lapka tha

    subh ki tarah wo be-rang hai ab

    'sham' ki tarah jise chaha tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now