kitni suKHan ki mahfilen aabaad kar gaya
kitnī suḳhan kī mahfileñ ābād kar gayā
ḳhāmoshiyoñ ke habs meñ ḳhud ghuT ke mar gayā
aisā milā sukūn chukā kar kisī kā qarz
mailā libās jaise badan se utar gayā
chehre banā banā ke rakhe haiñ kitāb meñ
be-chehragī ke ḳhauf se maiñ kitnā Dar gayā
mujh ko sameTne meñ lagegī tamām 'umr
ik shaḳhs merī zaat ke andar bikhar gayā
ham dekhte bhī kis ko tirī ruḳhsatī ke baa'd
gard-o-ġhubār raah kā āñkhoñ meñ bhar gayā
terā ḳhayāl bhī kisī sone se kam nahīñ
jitnā tapāyā hijr ne utnā nikhar gayā
kitni suKHan ki mahfilen aabaad kar gaya
KHamoshiyon ke habs mein KHud ghuT ke mar gaya
aisa mila sukun chuka kar kisi ka qarz
maila libas jaise badan se utar gaya
chehre bana bana ke rakhe hain kitab mein
be-chehragi ke KHauf se main kitna Dar gaya
mujh ko sameTne mein lagegi tamam 'umr
ek shaKHs meri zat ke andar bikhar gaya
hum dekhte bhi kis ko teri ruKHsati ke ba'd
gard-o-ghubar rah ka aankhon mein bhar gaya
tera KHayal bhi kisi sone se kam nahin
jitna tapaya hijr ne utna nikhar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.