kitnon ne baisakhi thami kitne kandhe Tut gae
kitnoñ ne baisākhī thāmī kitne kāñdhe Tuut ga.e
shohrat ke is bojh ko Dho kar achchhe achchhe Tuut ga.e
har dushman ko samjhātā huuñ mujh se baġhāvat Thiik nahīñ
patthar se Takrā kar jaane kitne shīshe Tuut ga.e
vaqt kī āñdhī meñ kuchh ham ne aise peḌ bhī dekhe haiñ
vo jin kī ummīd nahīñ thī vaqt se pahle Tuut ga.e
vo ma.asūm sī paglī laḌkī bin biyāhe ghar baiThī hai
ik ġhurbat kī ḳhātir ab tak chhappan rishte Tuut ga.e
tū apne is husn pe itnā naaz na kar sun husn ke but
ek buḌhāpe kī Thokar meñ lākhoñ putle Tuut ga.e
ham se pūchho pahuñche haiñ ham kaise kaise manzil tak
talvoñ ke andar chubh chubh kar kitne kāñTe Tuut ga.e
ishq vafā ummīdeñ chāhat nisbat qurbat ai 'anupan'
ham se to bachpan meñ hī ye saare khilaune Tuut ga.e
kitnon ne baisakhi thami kitne kandhe Tut gae
shohrat ke is bojh ko Dho kar achchhe achchhe Tut gae
har dushman ko samjhata hun mujh se baghawat Thik nahin
patthar se Takra kar jaane kitne shishe Tut gae
waqt ki aandhi mein kuchh hum ne aise peD bhi dekhe hain
wo jin ki ummid nahin thi waqt se pahle Tut gae
wo masum si pagli laDki bin biyahe ghar baiThi hai
ek ghurbat ki KHatir ab tak chhappan rishte Tut gae
tu apne is husn pe itna naz na kar sun husn ke but
ek buDhape ki Thokar mein lakhon putle Tut gae
hum se puchho pahunche hain hum kaise kaise manzil tak
talwon ke andar chubh chubh kar kitne kanTe Tut gae
ishq wafa ummiden chahat nisbat qurbat ai 'anupan'
hum se to bachpan mein hi ye sare khilaune Tut gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.