kiya girdab mein jab bhi KHuda par aasra humne
kiyā girdāb meñ jab bhī ḳhudā par aasrā ham ne
bajā.e nāḳhudā paayā hai dil ko nāḳhudā ham ne
chaman meñ gul meñ ġhunche meñ shafaq meñ mehr-o-anjum meñ
tumhīñ ko jalva-gar dekhā zamīñ tā-āsmāñ ham ne
kuchh is sūrat se us jān-e-gulistāñ ne nazar pherī
zamāne bhar kī phir badlī huī dekhī havā ham ne
farishtoñ ne bhī jab roz-e-azal jur.at na kī hamdam
kamāl-e-ishq kā bār-e-garāñ sar par liyā ham ne
banīñ tīr-e-malāmat ishq kī ḳhuddāriyāñ aa kar
uThānā bhī kabhī chāhā agar dast-e-duā ham ne
musallam ho chukī jab husn kī ma.asūmiyat 'jauhar'
kiyā ham ne jo ulfat meñ kiyā achchhā burā ham ne
kiya girdab mein jab bhi KHuda par aasra hum ne
bajae naKHuda paya hai dil ko naKHuda hum ne
chaman mein gul mein ghunche mein shafaq mein mehr-o-anjum mein
tumhin ko jalwa-gar dekha zamin ta-asman hum ne
kuchh is surat se us jaan-e-gulistan ne nazar pheri
zamane bhar ki phir badli hui dekhi hawa hum ne
farishton ne bhi jab roz-e-azal jurat na ki hamdam
kamal-e-ishq ka bar-e-garan sar par liya hum ne
banin tir-e-malamat ishq ki KHuddariyan aa kar
uThana bhi kabhi chaha agar dast-e-dua hum ne
musallam ho chuki jab husn ki masumiyat 'jauhar'
kiya hum ne jo ulfat mein kiya achchha bura hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.