kiya humne jo un se kuchh KHitab aahista aahista
kiya humne jo un se kuchh KHitab aahista aahista
Ram Chandr Varma Sahil
MORE BYRam Chandr Varma Sahil
kiyā ham ne jo un se kuchh ḳhitāb āhista āhista
unhoñ ne bhī diyā ham ko javāb āhista āhista
tasavvur meñ vo chehra rafta rafta is tarah aa.e
ki jaise aatā hai āñkhoñ meñ ḳhvāb āhista āhista
but-e-ḳhāmosh ko jab maiñ ne chheḌā kuchh sharārat se
dikhāyā us ne bhī kuchh iztirāb āhista āhista
tavajjoh jab na dī ham ne buzurgoñ kī nasīhat par
huā apnā bhī phir ḳhāna-ḳharāb āhista āhista
vo zor-o-jabr se sab dil kī bāteñ pūchh lete haiñ
magar apnā vo dete haiñ hisāb āhista āhista
dil-e-vīrān meñ is tarah utrī raushnī 'sāhil'
ki juuñ pūrab se nikle āftāb āhista āhista
kiya hum ne jo un se kuchh KHitab aahista aahista
unhon ne bhi diya hum ko jawab aahista aahista
tasawwur mein wo chehra rafta rafta is tarah aae
ki jaise aata hai aankhon mein KHwab aahista aahista
but-e-KHamosh ko jab main ne chheDa kuchh shararat se
dikhaya us ne bhi kuchh iztirab aahista aahista
tawajjoh jab na di hum ne buzurgon ki nasihat par
hua apna bhi phir KHana-KHarab aahista aahista
wo zor-o-jabr se sab dil ki baaten puchh lete hain
magar apna wo dete hain hisab aahista aahista
dil-e-viran mein is tarah utri raushni 'sahil'
ki jun purab se nikle aaftab aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.