kiya jazb-e-dil ne asar jate jate
kiyā jazb-e-dil ne asar jaate jaate
vo vāpas chale aa.e ghar jaate jaate
raqīboñ se raste meñ bach bach ke chalnā
kahīñ lag na jaa.e nazar jaate jaate
marīz-e-mohabbat pe rahmat ḳhudā kī
ye kyā kah gayā chārāgar jaate jaate
ye rindoñ kī duniyā ye mai-ḳhāna zāhid
kahāñ aa ga.e aap ghar jaate jaate
jahāñ meñ na āḳhir kahīñ ke rahe tum
idhar aate aate udhar jaate jaate
na ḳhud aaya aur na ḳhabar koī aa.ī
kahāñ mar gayā nāma-bar jaate jaate
marīz-e-mohabbat ko taḌpā ke maarā
hue mehrbāñ vo magar jaate jaate
kahāñ 'ja.afarī' ab vo pahlī sī dillī
jo aaya lagā.ī nazar jaate jaate
kiya jazb-e-dil ne asar jate jate
wo wapas chale aae ghar jate jate
raqibon se raste mein bach bach ke chalna
kahin lag na jae nazar jate jate
mariz-e-mohabbat pe rahmat KHuda ki
ye kya kah gaya chaaragar jate jate
ye rindon ki duniya ye mai-KHana zahid
kahan aa gae aap ghar jate jate
jahan mein na aaKHir kahin ke rahe tum
idhar aate aate udhar jate jate
na KHud aaya aur na KHabar koi aai
kahan mar gaya nama-bar jate jate
mariz-e-mohabbat ko taDpa ke mara
hue mehrban wo magar jate jate
kahan 'jafari' ab wo pahli si dilli
jo aaya lagai nazar jate jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.