kiya jo ahd ki us se kabhi milun bhi nahin
kiyā jo 'ahd ki us se kabhī milūñ bhī nahīñ
khulā ye raaz ki us bin kahīñ sukūñ bhī nahīñ
vo paas aa.e to hote haiñ aur zaḳhm hare
vo duur jaa.e to dil ko qarār yuuñ bhī nahīñ
maiñ us ko paane kī ḳhātir thā be-sukūñ kitnā
ye kyā huā use kho kar maiñ be-sukūñ bhī nahīñ
rah-e-vafā meñ na ḳhuddāriyoñ ko Thes lage
vafā karūñ magar aise ki maiñ jhukūñ bhī nahīñ
ye aur baat nahīñ sū-e-zan kisī se mujhe
ye baat bhī hai ki mardum-shanās huuñ bhī nahīñ
laboñ pe muhr lagā dī hai aur sar-e-mahfil
vo chāhte haiñ ki ḳhāmosh maiñ rahūñ bhī nahīñ
gurez 'bazm' zarūrī hai iltifāt meñ bhī
ho rasm-o-rāh to had se kabhī baḌhūñ bhī nahīñ
kiya jo 'ahd ki us se kabhi milun bhi nahin
khula ye raaz ki us bin kahin sukun bhi nahin
wo pas aae to hote hain aur zaKHm hare
wo dur jae to dil ko qarar yun bhi nahin
main us ko pane ki KHatir tha be-sukun kitna
ye kya hua use kho kar main be-sukun bhi nahin
rah-e-wafa mein na KHuddariyon ko Thes lage
wafa karun magar aise ki main jhukun bhi nahin
ye aur baat nahin su-e-zan kisi se mujhe
ye baat bhi hai ki mardum-shanas hun bhi nahin
labon pe muhr laga di hai aur sar-e-mahfil
wo chahte hain ki KHamosh main rahun bhi nahin
gurez 'bazm' zaruri hai iltifat mein bhi
ho rasm-o-rah to had se kabhi baDhun bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.