kiye hain raste hamwar jaane walon ke
kiye haiñ rāste hamvār jaane vāloñ ke
paḌā na paañv maiñ is baar jaane vāloñ ke
maiñ jang jītne vaalā vo pahlā aadmī thā
jo nauhe likh rahā thā haar jaane vāloñ ke
kisī kisī kā koī tiir surḳh-rū Thahrā
zamīñ pe Dher haiñ bekār jaane vāloñ ke
vahī thī sādgī har baar pīchhe vāloñ kī
bahāne the vahī do chaar jaane vāloñ ke
purāne 'ahd kī matrūk sī imārat huuñ
mujhī meñ DhūñDhiye āsār jaane vāloñ ke
ye kyā ki un ko bhī āsāñ hameñ hī karnā thā
the jitne marhale dushvār jaane vāloñ ke
maiñ thoḌī duur to is vāste bhī saath chalā
parakhne the mujhe kirdār jaane vāloñ ke
karūñgā band sabhī vāpsī ke darvāze
maiñ chehre dekh luuñ ik baar jaane vāloñ ke
kiye hain raste hamwar jaane walon ke
paDa na panw main is bar jaane walon ke
main jang jitne wala wo pahla aadmi tha
jo nauhe likh raha tha haar jaane walon ke
kisi kisi ka koi tir surKH-ru Thahra
zamin pe Dher hain bekar jaane walon ke
wahi thi sadgi har bar pichhe walon ki
bahane the wahi do chaar jaane walon ke
purane 'ahd ki matruk si imarat hun
mujhi mein DhunDhiye aasar jaane walon ke
ye kya ki un ko bhi aasan hamein hi karna tha
the jitne marhale dushwar jaane walon ke
main thoDi dur to is waste bhi sath chala
parakhne the mujhe kirdar jaane walon ke
karunga band sabhi wapsi ke darwaze
main chehre dekh lun ek bar jaane walon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.