kiye humne junun se nukta-chin-o-nukta-dan paida
kiye ham ne junūñ se nukta-chīn-o-nukta-dāñ paidā
ham aise aadmī hote haiñ duniyā meñ kahāñ paidā
hazāroñ bad-gumānī husn se ahl-e-havas ko haiñ
mohabbat ne kiyā hai husn se husn-e-gumāñ paidā
na hote ham to vo mā'būd-e-jān-o-dil kahāñ hote
jabīñ pahle huī paidā ki sang-e-āstāñ paidā
tabassum ban ga.ī un ke laboñ par har fuġhāñ merī
huī un ke tabassum se mire lab par fuġhāñ paidā
vahāñ jā kar haqīqat ruuh kī ham par huī zāhir
huī hai terī sūrat se jahāñ tasvīr-e-jāñ paidā
samajh ho to vahāñ phir kyoñ banā.e āshiyāñ koī
jahāñ bijlī kī qismat se ho shāḳh-e-āshiyāñ paidā
'zahīn' us qāfile kī gard chashm-e-dil kā surma hai
huī hai dil ke sahrā meñ jo gard-e-kārvāñ paidā
kiye hum ne junun se nukta-chin-o-nukta-dan paida
hum aise aadmi hote hain duniya mein kahan paida
hazaron bad-gumani husn se ahl-e-hawas ko hain
mohabbat ne kiya hai husn se husn-e-guman paida
na hote hum to wo ma'bud-e-jaan-o-dil kahan hote
jabin pahle hui paida ki sang-e-astan paida
tabassum ban gai un ke labon par har fughan meri
hui un ke tabassum se mere lab par fughan paida
wahan ja kar haqiqat ruh ki hum par hui zahir
hui hai teri surat se jahan taswir-e-jaan paida
samajh ho to wahan phir kyon banae aashiyan koi
jahan bijli ki qismat se ho shaKH-e-ashiyan paida
'zahin' us qafile ki gard chashm-e-dil ka surma hai
hui hai dil ke sahra mein jo gard-e-karwan paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.