koi aag lams ki phenk de mere band band ke samne
koī aag lams kī pheñk de mire band band ke sāmne
chale film koī visāl kī dil-e-hijr-mañd ke sāmne
ai hunar-varī tire ism chup ye amal ramal ke tilism chup
ye hazār gun se bhare haiñ kyā kisī bhāg-vand ke sāmne
khulī khiḌkiyoñ ke flat se zarā jhāñk shaam ko road par
tire intizār kī manzileñ haiñ mirī kamand ke sāmne
baḌe meḳh meḳh utaar bam mire zaḳhm zaḳhm pahāḌ meñ
koī haisiyat nahīñ maut kī kisī sar-buland ke sāmne
ka.ī DaaT kaam nasīb the jise baam baam ma.āsh ke
vo mināra ret kā devtā thā vo jal-pasand ke sāmne
koi aag lams ki phenk de mere band band ke samne
chale film koi visal ki dil-e-hijr-mand ke samne
ai hunar-wari tere ism chup ye amal ramal ke tilism chup
ye hazar gun se bhare hain kya kisi bhag-wand ke samne
khuli khiDkiyon ke flat se zara jhank sham ko road par
tere intizar ki manzilen hain meri kamand ke samne
baDe meKH meKH utar bam mere zaKHm zaKHm pahaD mein
koi haisiyat nahin maut ki kisi sar-buland ke samne
kai DaT kaam nasib the jise baam baam maash ke
wo minara ret ka dewta tha wo jal-pasand ke samne
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 440)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.