Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi aansu bahata hai koi fariyaad karta hai

Feroz Ahmed

koi aansu bahata hai koi fariyaad karta hai

Feroz Ahmed

MORE BYFeroz Ahmed

    koī aañsū bahātā hai koī fariyād kartā hai

    ye dil tujh ko bhulā kar kyoñ tujhe yaad kartā hai

    tabāhī ke bahut saare vasīle haiñ magar ik to

    mohabbat meñ apne aap ko barbād kartā hai

    tire dil meñ mohabbat ko jagāne ke liye ab to

    vo pāgal roz kuchh kuchh na.ī ījād kartā hai

    daraḳhtoñ ko jaḌoñ se kaaT kar bante haiñ furniture

    apnā ghar sajātā hai vo ghar ko yaad kartā hai

    jalā kar bastiyoñ ko bolte phirte haiñ ye zālim

    koī barbād kartā hai koī ābād kartā hai

    ajab aadat us ko ho ga.ī hai vo kabūtar ko

    pakaḌtā hai pakaḌ kar ḳhud phir āzād kartā hai

    kahāñ jā.egā ḳhushiyoñ Thikānā DhūñDne 'fā.ez'

    ġhamoñ se apne dil ko aaj tak vo shaad kartā he

    koi aansu bahata hai koi fariyaad karta hai

    ye dil tujh ko bhula kar kyon tujhe hi yaad karta hai

    tabahi ke bahut sare wasile hain magar ek to

    mohabbat hi mein apne aap ko barbaad karta hai

    tere dil mein mohabbat ko jagane ke liye ab to

    wo pagal roz hi kuchh kuchh nai ijad karta hai

    daraKHton ko jaDon se kaT kar bante hain furniture

    tu apna ghar sajata hai wo ghar ko yaad karta hai

    jala kar bastiyon ko bolte phirte hain ye zalim

    koi barbaad karta hai koi aabaad karta hai

    ajab aadat si us ko ho gai hai wo kabutar ko

    pakaDta hai pakaD kar KHud hi phir aazad karta hai

    kahan jaega KHushiyon ka Thikana DhunDne 'faez'

    ghamon se apne dil ko aaj tak wo shad karta he

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now