koi aawaz deta aa raha tha jaane kab se
koī āvāz detā aa rahā thā jaane kab se
to maiñ bāhar nikal kar aa gayā apne sabab se
udāsī dekh ye chehre jo tere kaam ke haiñ
na jaane kyoñ dikhā.ī de rahe haiñ be-talab se
maiñ ġhālib aa chukā thā arsa-e-hangām lekin
koī haarā huā lamha nikal aaya aqab se
kahāñ kī chhat kahāñ dīvār-o-dar kaisī sukūnat
muqaddar dasht ko dahlīz bhī kartā hai Dhab se
to kyā fursat meñ bhī masrūf rahtā huuñ maiñ aksar
chalo mahsūs kar letā huuñ ye ehsās ab se
ye duniyā bhī nahīñ thī aur ab to zindagī bhī
bahut āsāñ huī vo naam yaad aaya hai jab se
havā ne zaḳhm kī shiddat ko ḳhushbū kar diyā thā
chhalaktā jā rahā thā rang vo malbūs-e-shab se
ye shab dar-asl hai kohrām dil ke Dūbne kā
sitāro shor aisā kab huā thā aap sab se
izāfa kab huā thā raushnī meñ āsmāñ par
adhūrī niiñd se maiñ uTh gayā thā raat tab se
koi aawaz deta aa raha tha jaane kab se
to main bahar nikal kar aa gaya apne sabab se
udasi dekh ye chehre jo tere kaam ke hain
na jaane kyon dikhai de rahe hain be-talab se
main ghaalib aa chuka tha arsa-e-hangam lekin
koi haara hua lamha nikal aaya aqab se
kahan ki chhat kahan diwar-o-dar kaisi sukunat
muqaddar dasht ko dahliz bhi karta hai Dhab se
to kya fursat mein bhi masruf rahta hun main aksar
chalo mahsus kar leta hun ye ehsas ab se
ye duniya bhi nahin thi aur ab to zindagi bhi
bahut aasan hui wo nam yaad aaya hai jab se
hawa ne zaKHm ki shiddat ko KHushbu kar diya tha
chhalakta ja raha tha rang wo malbus-e-shab se
ye shab dar-asl hai kohram dil ke Dubne ka
sitaro shor aisa kab hua tha aap sab se
izafa kab hua tha raushni mein aasman par
adhuri nind se main uTh gaya tha raat tab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.