koi ada to mohabbat mein pai jati hai
koī adā to mohabbat meñ paa.ī jaatī hai
ki jis pe jaan kī baazī lagā.ī jaatī hai
sitam meñ un ke kamī aaj bhī nahīñ koī
magar adā meñ hamiyyat sī paa.ī jaatī hai
jo saañs lene se bhī dil meñ dikhtī rahtī hai
vo choT aur bhī zid se dikhā.ī jaatī hai
sitam kiyā ki karam us ne mujh pe kuchh bhī sahī
zabāñ pe baat azīzoñ kī laa.ī jaatī hai
uThā chukī hai tabī.at jo bandagī ke maze
kisī ke jaur se vo baaz aa.ī jaatī hai
ye pūchhte jo jahāñ-āfrīñ kahīñ miltā
tire jahān meñ rāhat bhī paa.ī jaatī hai
taḌap rahe ho batāo 'jigar' kahāñ hai choT
kahīñ tabī.at se hālat chhupā.ī jaatī hai
koi ada to mohabbat mein pai jati hai
ki jis pe jaan ki bazi lagai jati hai
sitam mein un ke kami aaj bhi nahin koi
magar ada mein hamiyyat si pai jati hai
jo sans lene se bhi dil mein dikhti rahti hai
wo choT aur bhi zid se dikhai jati hai
sitam kiya ki karam us ne mujh pe kuchh bhi sahi
zaban pe baat azizon ki lai jati hai
uTha chuki hai tabiat jo bandagi ke maze
kisi ke jaur se wo baz aai jati hai
ye puchhte jo jahan-afrin kahin milta
tere jahan mein rahat bhi pai jati hai
taDap rahe ho batao 'jigar' kahan hai choT
kahin tabiat se haalat chhupai jati hai
- Book : Partav-e-ilhaam (Pg. 133)
- Author : Jigar Barelvi
- Publication : Publisher Nizami Book Agency, Budaun (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.