koi afsana-e-zindan sunata hai mujhe
koī afsāna-e-zindān sunātā hai mujhe
aur jiine kī tadābīr batātā hai mujhe
ek hī dukh hai ki dīvār se lag kar koī
ro.e jaatā hai mujhe ghūrtā jaatā hai mujhe
ek saaya hai mirā Dal ke kināre baiThā
aur har roz vo us paar bulātā hai mujhe
ye jo mausam kā chalan 'ain tire jaisā hai
ye to har roz tire ḳhvāb dikhātā hai mujhe
ranj-o-ālām kī tā'zīm mujhe aatī hai
us pe kahne kā salīqa bhī to aatā hai mujhe
vaqt se qabl vo aatā hai hamesha 'bāsit'
par batāne ko bahut der batātā hai mujhe
koi afsana-e-zindan sunata hai mujhe
aur jine ki tadabir batata hai mujhe
ek hi dukh hai ki diwar se lag kar koi
roe jata hai mujhe ghurta jata hai mujhe
ek saya hai mera Dal ke kinare baiTha
aur har roz wo us par bulata hai mujhe
ye jo mausam ka chalan 'ain tere jaisa hai
ye to har roz tere KHwab dikhata hai mujhe
ranj-o-alam ki ta'zim mujhe aati hai
us pe kahne ka saliqa bhi to aata hai mujhe
waqt se qabl wo aata hai hamesha 'basit'
par batane ko bahut der batata hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.