koi aisa hal nikalen silsila yunhi rahe
koī aisā hal nikāleñ silsila yūñhī rahe
mar bhī jaa.eñ to hamārā rābta yūñhī rahe
chaltī jaa.e kashtī yūñhī bādbāñ khole hue
ye jazīre ye dhuāñ āb-o-havā yūñhī rahe
ḳhatm ho jaa.e dukhoñ kā ye pahāḌī silsila
aur qaa.em do diloñ kā hausla yūñhī rahe
merī āñkhoñ meñ sadā khilte raheñ ashkoñ ke phuul
aur tire ma.asūm hoñToñ par duā yūñhī rahe
koi aisa hal nikalen silsila yunhi rahe
mar bhi jaen to hamara rabta yunhi rahe
chalti jae kashti yunhi baadban khole hue
ye jazire ye dhuan aab-o-hawa yunhi rahe
KHatm ho jae dukhon ka ye pahaDi silsila
aur qaem do dilon ka hausla yunhi rahe
meri aankhon mein sada khilte rahen ashkon ke phul
aur tere masum honTon par dua yunhi rahe
- Book : Ham ne bhi mohabbat ki hai (Pg. 87)
- Author : HASAN ABBASI
- Publication : Nastalique Publications (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.