koi ajdad ke KHazane the
koī ajdād ke ḳhazāne the
dard kuchh is qadar purāne the
na nigāheñ churāo khanDar se
ye to ābād āshiyāne the
sirf iz.hār hī nahīñ kaafī
aap ko naaz bhī uThāne the
vaj.h inkār kī mire to bas
yuuñ samajh lījiye bahāne the
be-sahārā haiñ aur be-ghar bhī
rishte-nātoñ meñ jo siyāne the
ba.ad muddat ke ḳhuub soī maiñ
merā sar aur un ke shāne the
un nigāhoñ ke vaar sah na sake
teġh ke vaar jo dikhāne the
koi ajdad ke KHazane the
dard kuchh is qadar purane the
na nigahen churao khanDar se
ye to aabaad aashiyane the
sirf izhaar hi nahin kafi
aap ko naz bhi uThane the
wajh inkar ki mere to bas
yun samajh lijiye bahane the
be-sahaara hain aur be-ghar bhi
rishte-naton mein jo siyane the
baad muddat ke KHub soi main
mera sar aur un ke shane the
un nigahon ke war sah na sake
tegh ke war jo dikhane the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.