koi alam ke liye hai koi KHushi ke liye
koi alam ke liye hai koi KHushi ke liye
Mohaamad tahseen Asrar
MORE BYMohaamad tahseen Asrar
koī alam ke liye hai koī ḳhushī ke liye
haiñ āzmā.isheñ har lamha aadmī ke liye
ḳhudā ke vāste dāman-kashāñ na ho mujh se
maiñ chhoḌ saktā huuñ duniyā tirī ḳhushī ke liye
sukūn miltā hai duniyā meñ imtihān ke baad
isī liye ye zarūrī hai har kisī ke liye
usī ne luuT liyā apnā kārvān-e-hayāt
chunā thā ham ne jise apnī rahbarī ke liye
yahīñ pe apne parā.e samajh meñ aate haiñ
zarūrī hai ġham-e-daurāñ bhī zindagī ke liye
zarūr kartā hai vo ham pe rahmatoñ kā nuzūl
jahāñ bhī jaate haiñ ham us kī bandagī ke liye
koi alam ke liye hai koi KHushi ke liye
hain aazmaishen har lamha aadmi ke liye
KHuda ke waste daman-kashan na ho mujh se
main chhoD sakta hun duniya teri KHushi ke liye
sukun milta hai duniya mein imtihan ke baad
isi liye ye zaruri hai har kisi ke liye
usi ne luT liya apna karwan-e-hayat
chuna tha hum ne jise apni rahbari ke liye
yahin pe apne parae samajh mein aate hain
zaruri hai gham-e-dauran bhi zindagi ke liye
zarur karta hai wo hum pe rahmaton ka nuzul
jahan bhi jate hain hum us ki bandagi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.