koi arman mere dil ka nikalne na diya
koī armān mire dil kā nikalne na diyā
shoḳhiyoñ ne tirī fiqra bhī to chalne na diyā
pai-ba-pai tīr-e-nazar aa.e sañbhalne na diyā
chāñdnī chauk se bismil ko nikalne na diyā
jab sisakne kā nahīñ hukm taḌapnā kaisā
itnā armān bhī qātil ne nikalne na diyā
bazm-e-hastī meñ abhī aa ke to ham baiThe the
yuuñ ajal aa.ī ki zaanū bhī badalne na diyā
shab-e-furqat se ho hāsil mujhe kis tarah najāt
saḳht-jānī ne mirā dam bhī nikalne na diyā
rahm kar parda-e-fānūs se ai sham.a nikal
is qadar zulm ki parvānoñ ko jalne na diyā
ye dabāyā qad-e-mauzūñ ne tire tuubā ko
bāġh-e-firdaus meñ bhī phūlne phalne na diyā
ḳhuub nazzāra-e-qātil rahā 'akbar' tah-e-teġh
haath ruk ruk gayā taqdīr ne chalne na diyā
koi arman mere dil ka nikalne na diya
shoKHiyon ne teri fiqra bhi to chalne na diya
pai-ba-pai tir-e-nazar aae sanbhalne na diya
chandni chauk se bismil ko nikalne na diya
jab sisakne ka nahin hukm taDapna kaisa
itna arman bhi qatil ne nikalne na diya
bazm-e-hasti mein abhi aa ke to hum baiThe the
yun ajal aai ki zanu bhi badalne na diya
shab-e-furqat se ho hasil mujhe kis tarah najat
saKHt-jaani ne mera dam bhi nikalne na diya
rahm kar parda-e-fanus se ai shama nikal
is qadar zulm ki parwanon ko jalne na diya
ye dabaya qad-e-mauzun ne tere tuba ko
bagh-e-firdaus mein bhi phulne phalne na diya
KHub nazzara-e-qatil raha 'akbar' tah-e-tegh
hath ruk ruk gaya taqdir ne chalne na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.