koi aur dastan thi dar-e-dastan se aage
koī aur dāstāñ thī dar-e-dāstāñ se aage
mujhe le gayā thā ik din koī āsmāñ se aage
mujhe kyā dikhā.ī detā ki har ik taraf dhuāñ thā
maiñ nikal gayā thā shāyad tirī kahkashāñ se aage
tire āstāñ se aage koī rāsta nahīñ hai
koī kaise jā sakegā tire āstāñ se aage
maiñ kabhī vahāñ se aage na gayā na jā sakūñgā
mujhe kuchh ḳhabar nahīñ hai ki hai kyā vahāñ se aage
kabhī thā yaqīñ ke pīchhe to kabhī gumāñ ke pīchhe
magar ab yaqīn merā hai mire gumāñ se aage
mujhe bas yahī pata hai ki the saath saath donoñ
huā maiñ kahāñ se pīchhe huā tū kahāñ se aage
koi aur dastan thi dar-e-dastan se aage
mujhe le gaya tha ek din koi aasman se aage
mujhe kya dikhai deta ki har ek taraf dhuan tha
main nikal gaya tha shayad teri kahkashan se aage
tere aastan se aage koi rasta nahin hai
koi kaise ja sakega tere aastan se aage
main kabhi wahan se aage na gaya na ja sakunga
mujhe kuchh KHabar nahin hai ki hai kya wahan se aage
kabhi tha yaqin ke pichhe to kabhi guman ke pichhe
magar ab yaqin mera hai mere guman se aage
mujhe bas yahi pata hai ki the sath sath donon
hua main kahan se pichhe hua tu kahan se aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.