koi bache bhi to kaise kamal hota hai
koī bache bhī to kaise kamāl hotā hai
jo ye laboñ pe tabassum kā jaal hotā hai
burā bhale ko kaho to bhī vo du'ā degā
burā bure ko kaho to vabāl hotā hai
kise paḌī hai jo har baat merī samjhegā
bas ek maañ hī hai jis ko ḳhayāl hotā hai
ye be-shu'ūr adīboñ kī bastiyāñ haiñ yahāñ
javāb dete hī phir se savāl hotā hai
jahāñ pe ḳhatm zarūrat huī yahī hogā
safar ke baa'd ticket kā jo haal hotā hai
nazar zamīn pe rakhnā yahīñ mileñge phir
bulandiyoñ ko bhī 'āsif' zavāl hotā hai
koi bache bhi to kaise kamal hota hai
jo ye labon pe tabassum ka jal hota hai
bura bhale ko kaho to bhi wo du'a dega
bura bure ko kaho to wabaal hota hai
kise paDi hai jo har baat meri samjhega
bas ek man hi hai jis ko KHayal hota hai
ye be-shu'ur adibon ki bastiyan hain yahan
jawab dete hi phir se sawal hota hai
jahan pe KHatm zarurat hui yahi hoga
safar ke ba'd ticket ka jo haal hota hai
nazar zamin pe rakhna yahin milenge phir
bulandiyon ko bhi 'asif' zawal hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.