koi bashar mujhe aisa nazar nahin aata
koī bashar mujhe aisā nazar nahīñ aatā
ki tere kūche se thāme jigar nahīñ aatā
rafīq vaañ koī jaatā hai rahm khā ke agar
to phir vo bhuul ke rasta idhar nahīñ aatā
nahīñ maiñ qābil-e-lutf-o-karam to ai zālim
sitam bhī mujh pe na kar rahm gar nahīñ aatā
jamāl-e-yār na dekhā thā jab tak aatā thā
aur ab to hashr talak nāma-bar nahīñ aatā
kahāñ talak are be-rahm mashq-e-tīr-e-sitam
nishān-e-gor bhī ab to nazar nahīñ aatā
tarah tarah ke sitam mujh pe hote haiñ zālim
jalānā ġhair kā tujh ko magar nahīñ aatā
marīz-e-dard-e-mohabbat kā dil na toḌ apne
nahīñ to muñh se na kar tū agar nahīñ aatā
milāyā ḳhaak meñ aur us pe kahte haiñ ki mujhe
kuchh imtihān mohabbat kā kar nahīñ aatā
huā huuñ be-ḳhudī-e-ishq se yahāñ tak mahv
ki yaar sāmne hai aur nazar nahīñ aatā
masīh hai pe jilānā mirā nahīñ manzūr
mire janāza pe vo jaan kar nahīñ aatā
huā hai haal 'hayā' kā ye hijr meñ tere
ki ab to saañs bhī do-do pahar nahīñ aatā
koi bashar mujhe aisa nazar nahin aata
ki tere kuche se thame jigar nahin aata
rafiq wan koi jata hai rahm kha ke agar
to phir wo bhul ke rasta idhar nahin aata
nahin main qabil-e-lutf-o-karam to ai zalim
sitam bhi mujh pe na kar rahm gar nahin aata
jamal-e-yar na dekha tha jab tak aata tha
aur ab to hashr talak nama-bar nahin aata
kahan talak are be-rahm mashq-e-tir-e-sitam
nishan-e-gor bhi ab to nazar nahin aata
tarah tarah ke sitam mujh pe hote hain zalim
jalana ghair ka tujh ko magar nahin aata
mariz-e-dard-e-mohabbat ka dil na toD apne
nahin to munh se na kar tu agar nahin aata
milaya KHak mein aur us pe kahte hain ki mujhe
kuchh imtihan mohabbat ka kar nahin aata
hua hun be-KHudi-e-ishq se yahan tak mahw
ki yar samne hai aur nazar nahin aata
masih hai pe jilana mera nahin manzur
mere janaza pe wo jaan kar nahin aata
hua hai haal 'haya' ka ye hijr mein tere
ki ab to sans bhi do-do pahar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.