koi batlao ki ye naw kahan Thahregi
koī batlāo ki ye naav kahāñ Thahregī
kab qazā aa.egī kab umr-e-ravāñ Thahregī
zindagī ek haqīqat sahī lekin ai dost
gar yahī haal rahā vahm-o-gumāñ Thahregī
sū-e-jaulāñ-gah-e-hastī nigarāñ hai dekho
ye nazar ab ruḳh-e-sāqī pe kahāñ Thahregī
hai bahut saada ġham-e-dil kā fasāna us par
baar pechīdgī-e-sharh-o-bayāñ Thahregī
shahr-e-dard ek nayā hogā vahāñ par ābād
merī āvāz sar-e-dasht jahāñ Thahregī
dosto maut se apnī ye misālī paikār
bā.is-e-rashk-e-masīhā-nafsāñ Thahregī
jis se haq-goī kī zinda hai rivāyat ai dost
aaj ta.azīr ke qābil vo zabāñ Thahregī
sar-garāñ aaj haiñ 'jābir' se suḳhan ke naqqād
kal ko me.ār-e-ġhazal us kī fuġhāñ Thahregī
koi batlao ki ye naw kahan Thahregi
kab qaza aaegi kab umr-e-rawan Thahregi
zindagi ek haqiqat sahi lekin ai dost
gar yahi haal raha wahm-o-guman Thahregi
su-e-jaulan-gah-e-hasti nigaran hai dekho
ye nazar ab ruKH-e-saqi pe kahan Thahregi
hai bahut sada gham-e-dil ka fasana us par
bar pechidgi-e-sharh-o-bayan Thahregi
shahr-e-dard ek naya hoga wahan par aabaad
meri aawaz sar-e-dasht jahan Thahregi
dosto maut se apni ye misali paikar
bais-e-rashk-e-masiha-nafsan Thahregi
jis se haq-goi ki zinda hai riwayat ai dost
aaj tazir ke qabil wo zaban Thahregi
sar-garan aaj hain 'jabir' se suKHan ke naqqad
kal ko mear-e-ghazal us ki fughan Thahregi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.