koi be-wajh kyun KHafa hoga
koī be-vaj.h kyuuñ ḳhafā hogā
kuchh to us ko burā lagā hogā
aage jā kar Thahar gayā hogā
vo mirī raah tak rahā hogā
chhoḌ aa.e the ham jalā ke jise
vo diyā kab kā bujh gayā hogā
jab vo āvāz tham ga.ī hogī
shab kā sannāTā boltā hogā
kaise ma.alūm ho ki āḳhir-e-vaqt
us ne kyā kuchh kahā-sunā hogā
kyuuñ havā tez abhī se chalne lagī
ġhuncha kam kam abhī khilā hogā
lahja us kā bhī kuchh thā apnā sā
vo bhī apne dayār kā hogā
pahlā sajda jahāñ kiyā thā vahīñ
āḳhirī sajda bhī adā hogā
ho na ho manzil aa ga.ī 'mohsin'
chand qaumoñ kā fāslā hogā
koi be-wajh kyun KHafa hoga
kuchh to us ko bura laga hoga
aage ja kar Thahar gaya hoga
wo meri rah tak raha hoga
chhoD aae the hum jala ke jise
wo diya kab ka bujh gaya hoga
jab wo aawaz tham gai hogi
shab ka sannaTa bolta hoga
kaise malum ho ki aaKHir-e-waqt
us ne kya kuchh kaha-suna hoga
kyun hawa tez abhi se chalne lagi
ghuncha kam kam abhi khila hoga
lahja us ka bhi kuchh tha apna sa
wo bhi apne dayar ka hoga
pahla sajda jahan kiya tha wahin
aaKHiri sajda bhi ada hoga
ho na ho manzil aa gai 'mohsin'
chand qaumon ka fasla hoga
- Book : Mata-e-Aakhir-e-Shab (Pg. 75)
- Author : Mohsin Zaidi
- Publication : Urdu Acadamy Delhi (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.