koi bhi bar-e-garan dosh par nahin rakhte
koī bhī bār-e-garāñ dosh par nahīñ rakhte
safar-pasand haiñ raḳht-e-safar nahīñ rakhte
vo zinda kab haiñ jo apnī ḳhabar nahīñ rakhte
ajiib haiñ jo zarā bhī hunar nahīñ rakhte
asīr-e-husn-e-tavakkul marīz ho kar bhī
umīd-e-mo.ajiza-e-chārāgar nahīñ rakhte
naqīb-e-ahd-e-sadāqat haiñ is liye ham log
asaas apnī kisī zulm par nahīñ rakhte
hameñ ġhurūr hai apnī hī sarfarāzī kā
ham apne dosh pe be-maġhz sar nahīñ rakhte
faqīr-e-fikr kā ghar be-hisār hotā hai
ham ahl-e-faqr haiñ dīvār-o-dar nahīñ rakhte
hai apnī soch kā sūraj se rābta ‘guftār’
ḳhudā kā shukr hai sar par shajar nahīñ rakhte
koi bhi bar-e-garan dosh par nahin rakhte
safar-pasand hain raKHt-e-safar nahin rakhte
wo zinda kab hain jo apni KHabar nahin rakhte
ajib hain jo zara bhi hunar nahin rakhte
asir-e-husn-e-tawakkul mariz ho kar bhi
umid-e-moajiza-e-chaaragar nahin rakhte
naqib-e-ahd-e-sadaqat hain is liye hum log
asas apni kisi zulm par nahin rakhte
hamein ghurur hai apni hi sarfaraazi ka
hum apne dosh pe be-maghz sar nahin rakhte
faqir-e-fikr ka ghar be-hisar hota hai
hum ahl-e-faqr hain diwar-o-dar nahin rakhte
hai apni soch ka suraj se rabta ‘guftar’
KHuda ka shukr hai sar par shajar nahin rakhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.