Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi bhi duniya mein apna ham-nawa milta nahin

Nazeer Hussain Siddiqui

koi bhi duniya mein apna ham-nawa milta nahin

Nazeer Hussain Siddiqui

MORE BYNazeer Hussain Siddiqui

    koī bhī duniyā meñ apnā ham-navā miltā nahīñ

    naġhma-zan haiñ saikḌoñ nauha-sarā miltā nahīñ

    haa.e vo din jab ki ronā bhī nashāt-āhañg thā

    ab hañsī meñ bhī hameñ koī mazā miltā nahīñ

    maiñ miTā kyā pās-e-nāmūs-e-vafā bhī miT gayā

    us ke sang-e-āstāñ ko jab.ha-sā miltā nahīñ

    tere naġhmoñ se na hogī mujh ko taskīñ andalīb

    naġhma-e-ġham se mire naġhma tirā miltā nahīñ

    shukr un ke ishq lāzim hai ai dil shukr kar

    dard to miltā hai dard-e-lā-davā miltā nahīñ

    ḳhaak rahtā is hujūm-e-nā-umīdī meñ nishāñ

    miT ga.e sab koī naqsh-e-mudda.ā miltā nahīñ

    karte ho nazzāra-e-bismil se kyoñ sarf-e-nazar

    kyā shahīdān-e-nigah ḳhūñ-bahā miltā nahīñ

    un bazm-e-rāz meñ kar ham aise kho ga.e

    kuchh patā az-ibtidā-tā-intihā miltā nahīñ

    us ka.abe meñ na milnā ḳhair ye ik baat hai

    but-kadoñ meñ kyoñ vo kāfir āshnā miltā nahīñ

    karte haiñ duzdīda nazroñ se vo bismil jis tarah

    us adā koī ḳhanjar-āzmā miltā nahīñ

    jam.a haiñ har chand sāmān-e-masarrat har taraf

    chain is dil ko magar tere sivā miltā nahīñ

    dekh kar us ko jo sabr aa.e to ham jāneñ 'junūñ'

    sabr jab tak hai ki vo sabr-āzmā miltā nahīñ

    koi bhi duniya mein apna ham-nawa milta nahin

    naghma-zan hain saikDon nauha-sara milta nahin

    hae wo din jab ki rona bhi nashat-ahang tha

    ab hansi mein bhi hamein koi maza milta nahin

    main miTa kya pas-e-namus-e-wafa bhi miT gaya

    us ke sang-e-astan ko jabha-sa milta nahin

    tere naghmon se na hogi mujh ko taskin andalib

    naghma-e-gham se mere naghma tera milta nahin

    shukr un ke ishq ka lazim hai ai dil shukr kar

    dard to milta hai dard-e-la-dawa milta nahin

    KHak rahta is hujum-e-na-umidi mein nishan

    miT gae sab koi naqsh-e-muddaa milta nahin

    karte ho nazzara-e-bismil se kyon sarf-e-nazar

    kya shahidan-e-nigah ka KHun-baha milta nahin

    un ki bazm-e-raaz mein ja kar hum aise kho gae

    kuchh pata az-ibtida-ta-intiha milta nahin

    us ka kabe mein na milna KHair ye ek baat hai

    but-kadon mein kyon wo kafir aashna milta nahin

    karte hain duzdida nazron se wo bismil jis tarah

    us ada ka koi KHanjar-azma milta nahin

    jama hain har chand saman-e-masarrat har taraf

    chain is dil ko magar tere siwa milta nahin

    dekh kar us ko jo sabr aae to hum jaanen 'junun'

    sabr jab tak hai ki wo sabr-azma milta nahin

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now