koi bhi hota nahin kisi ka
koī bhī hotā nahīñ kisī kā
sabhī ko ḳhatra hai zindagī kā
nikal ke jāoge kis tarah tum
hai tez dhārā bahut nadī kā
abhī jo insāf kā huā qatl
ye hādisa hai baḌā sadī kā
vo naam par jis ke mar rahā thā
bhulā chukā huuñ use kabhī kā
har ek pal soch kar karo ḳharch
yahī taqāza hai zindagī kā
koi bhi hota nahin kisi ka
sabhi ko KHatra hai zindagi ka
nikal ke jaoge kis tarah tum
hai tez dhaara bahut nadi ka
abhi jo insaf ka hua qatl
ye hadisa hai baDa sadi ka
wo nam par jis ke mar raha tha
bhula chuka hun use kabhi ka
har ek pal soch kar karo KHarch
yahi taqaza hai zindagi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.