koi bhi KHud ko badalta nazar nahin aata
Interesting Fact
1976
koī bhī ḳhud ko badaltā nazar nahīñ aatā
'azāb aa.egā Taltā nazar nahīñ aatā
zamīñ ko rok liyā hai kashish ne sūraj kī
ye din to raat meñ Dhaltā nazar nahīñ aatā
lage hai yuuñ ki uge haiñ daraḳht patthar ke
koī bhī phūltā phaltā nazar nahīñ aatā
dhuāñ bharā hai makāñ meñ sulagte haiñ dar-o-bām
makīñ to aañkh bhī maltā nazar nahīñ aatā
bapā hai jashn masīhā-nafas kī aamad par
marīz hai ki sañbhaltā nazar nahīñ aatā
ubhārte haiñ hudī-ḳhvāñ pukārtī hai jaras
magar ye qāfila chaltā nazar nahīñ aatā
gire hai barq sar-e-tūr-o-dasht-e-sīnā par
koī shajar kahīñ jaltā nazar nahīñ aatā
koi bhi KHud ko badalta nazar nahin aata
'azab aaega Talta nazar nahin aata
zamin ko rok liya hai kashish ne suraj ki
ye din to raat mein Dhalta nazar nahin aata
lage hai yun ki uge hain daraKHt patthar ke
koi bhi phulta phalta nazar nahin aata
dhuan bhara hai makan mein sulagte hain dar-o-baam
makin to aankh bhi malta nazar nahin aata
bapa hai jashn masiha-nafas ki aamad par
mariz hai ki sanbhalta nazar nahin aata
ubhaarte hain hudi-KHwan pukarti hai jaras
magar ye qafila chalta nazar nahin aata
gire hai barq sar-e-tur-o-dasht-e-sina par
koi shajar kahin jalta nazar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.