koi bhi KHush ho main apni KHushi samajhta hun
koī bhī ḳhush ho maiñ apnī ḳhushī samajhtā huuñ
maiñ zinda shaḳhs huuñ aur zindagī samajhtā huuñ
ka.ī to tum se bhī behtar mile haiñ log mujhe
magar kamī hai jo us ko kamī samajhtā huuñ
ye vo dikhātā hai jo raushnī dikhātī nahīñ
so maiñ añdhere ko bhī raushnī samajhtā huuñ
bahut sī chīzeñ haiñ jo merī had se bāhar haiñ
so jitnī had hai mirī maiñ vahī samajhtā huuñ
chalā to jā.egā lekin nishān chhoḌ ke yaar
agarche dukh ko bhī maiñ sarsarī samajhtā huuñ
koi bhi KHush ho main apni KHushi samajhta hun
main zinda shaKHs hun aur zindagi samajhta hun
kai to tum se bhi behtar mile hain log mujhe
magar kami hai jo us ko kami samajhta hun
ye wo dikhata hai jo raushni dikhati nahin
so main andhere ko bhi raushni samajhta hun
bahut si chizen hain jo meri had se bahar hain
so jitni had hai meri main wahi samajhta hun
chala to jaega lekin nishan chhoD ke yar
agarche dukh ko bhi main sarsari samajhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.