Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi bhi KHwab in aankhon mein bo nahin sakta

Satish Mukhtalif

koi bhi KHwab in aankhon mein bo nahin sakta

Satish Mukhtalif

MORE BYSatish Mukhtalif

    koī bhī ḳhvāb in āñkhoñ meñ bo nahīñ saktā

    maiñ sonā chāhtā huuñ aur so nahīñ saktā

    maiñ apne aap sab se baḌā muḳhālif huuñ

    mire ḳhilāf koī aur ho nahīñ saktā

    mire ḳhuuñ se sanī haiñ ye uñgliyāñ merī

    so apnā haath bhī gangā meñ dho nahīñ saktā

    tamām log jidhar rahe haiñ silsila-vār

    udhar maiñ bhī chalā jā.ūñ ho nahīñ saktā

    na.e safar ke liye vaqt chāhiye hogā

    maiñ thak chukā huuñ bahut ḳhud ko Dho nahīñ saktā

    koi bhi KHwab in aankhon mein bo nahin sakta

    main sona chahta hun aur so nahin sakta

    main apne aap ka sab se baDa muKHalif hun

    mere KHilaf koi aur ho nahin sakta

    mere hi KHun se sani hain ye ungliyan meri

    so apna hath bhi ganga mein dho nahin sakta

    tamam log jidhar ja rahe hain silsila-war

    udhar hi main bhi chala jaun ho nahin sakta

    nae safar ke liye waqt chahiye hoga

    main thak chuka hun bahut KHud ko Dho nahin sakta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now