koi bhi rahbar shayad muqaddar mein nahin tha
koī bhī rāhbar shāyad muqaddar meñ nahīñ thā
koī āsāñ safar shāyad muqaddar meñ nahīñ thā
mire hisse faqat dast-e-talab harf-e-du’ā the
du'āoñ meñ asar shāyad muqaddar meñ nahīñ thā
mere zimme shajar kī ābyārī 'umr-bhar thī
magar is kā samar shāyad muqaddar meñ nahīñ thā
ḳhud apne se lipaT kar ro liyā kartā huuñ aksar
vo shāna aur ye sar shāyad muqaddar meñ nahīñ thā
faqat tan hī nahīñ ehsās bhī hai pāra-pāra
koī bhī chārāgar shāyad muqaddar meñ nahīñ thā
koi bhi rahbar shayad muqaddar mein nahin tha
koi aasan safar shayad muqaddar mein nahin tha
mere hisse faqat dast-e-talab harf-e-du’a the
du'aon mein asar shayad muqaddar mein nahin tha
mere zimme shajar ki aabyari 'umr-bhar thi
magar is ka samar shayad muqaddar mein nahin tha
KHud apne se lipaT kar ro liya karta hun aksar
wo shana aur ye sar shayad muqaddar mein nahin tha
faqat tan hi nahin ehsas bhi hai para-para
koi bhi chaaragar shayad muqaddar mein nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.