koi bhi rasm ho sar par nahin uThate hum
koī bhī rasm ho sar par nahīñ uThāte ham
namāz paḌhte haiñ Topī nahīñ lagāte ham
jo aab paḌtā hai ḳhud hī meñ jazb karte haiñ
badan ko dhuup meñ rakh kar nahīñ sukhāte ham
dukhoñ ko jiite haiñ aur jī ke ḳhalq karte haiñ
ab apnī maut pe mātam nahīñ manāte ham
sazā milī hai hameñ raushnī meñ rahne kī
ki sote vaqt bhī battī nahīñ bujhāte ham
har ek rāhguzar tīrgī meñ Duubī hai
charāġh ghar se nikal kar nahīñ jalāte ham
koi bhi rasm ho sar par nahin uThate hum
namaz paDhte hain Topi nahin lagate hum
jo aab paDta hai KHud hi mein jazb karte hain
badan ko dhup mein rakh kar nahin sukhate hum
dukhon ko jite hain aur ji ke KHalq karte hain
ab apni maut pe matam nahin manate hum
saza mili hai hamein raushni mein rahne ki
ki sote waqt bhi batti nahin bujhate hum
har ek rahguzar tirgi mein Dubi hai
charagh ghar se nikal kar nahin jalate hum
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 71)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.